Mausam tha grey aur masti me the hum
doston ki baaton ne jaise yaad dila diya ho bachpan
wo atkheliyan, wo apnapan
is shehar ki tezi me ho gaya tha khatam
har kisi ko thi jaldi, dhoond rahe the wo apna aashiyaan
mujhse bichhad rahe the wo, ujad raha tha gulistan,
waqt banaayega humein safal, chhod jaayenge kayee mukaam,
kal aur aayenge, lekin koi mita na paayega hamaare nishaan
kal honge hum kaamyaab, iska hai poora yakeen,
mehnat se seechenge apna sapna, asafalta ka dar nahi,
jinhe nahi hai hum par yakeen, unhe yakeen dila kar rahenge,
hum banenge wo chiraag, jo toofani baarish me bhi jagmagayenge
lekin dosti ke dhaage kamzor padh rahe hain,
jo apne the kal tak, wo aaj begaane ban gaye hain,
gubbaron ki tarah bachhon ke haath se chhoot to rahe hain,
lekin unmukt aasmaan me udne ke bajaaye band pinjare ki chidiya ban rahe hain
tod daalo ya mod daalo in pinjare ke bandhano ko
aur dosti me badhti dooriyon ko samet lo
aur kyunki hum jaise dost firse kahaan dhoondoge
isliye haath bada ke thaam lo hum doston ko
- Devesh ‘The Devilpoet’ Joshi
Awsm!! So touching poems….. Pls keep on updating!!!